Jagjit Singh
CRY FOR CRY
Maa Sunao Mujhe Woh Kahani

maa sunao mujhe wo kahani
jisme raja na ho na ho rani

jo hamari tumhari katha ho
jo sabhi ke hriday ki gatha ho
gandh jisme bhari ho dhara ki
baat jisme na ho apsara ki
ho na pariyan jahan aasmaani

wo kahani ko hasna sikha de
pet ki bhookh ko jo bhula de
jisme sach ki bhari chaandni ho
jisme umeed ki roshni ho
jisme na ho kahani puraani


Lab Pe Aati Hai Dua Banke Tamanna Meri

lab pe aati hai dua banke tamanna meri
zindagi shamma ki surat ho khuda ya meri

ho mere dum se yun hi mere watan ki zeenat
jis tarah phool se hoti hai chaman ki zeenat

zindagi ho meri parwaane ki surat ya rab
ilm ki shamma se ho mujhko mohabbat ya rab

ho mera kaam garibon ki himaayat karna
dard mando se zaeefon se mohabbat karna

mere allaah buraayee se bachchana mujhko
nek jo raah ho uss reh pe chalaana mujhko