Jagjit Singh
ECSTACIES
Bahut Dinon Ki Baat Hai

bahut dinon kee baat hai, fizaa ko yaad bhi nahin,
ye baat aaj kee nahin, bahut dinon kee baat hai.

shabaab par bahaar thee, fizaa bhi khush-gawaar thee,
naa jaane kyoon machal pada, maiN apne ghar se chal pada,
kisi ne mujhko rok'kar, badi adaa se tok'kar,
kaha tha laut aae'iye, meri kasam naa jaai'iye.

par mujhe khabar na thee, maahol par nazar na thee,
naa jaane kyoon machal pada, main apne ghar se chal pada,
main shehar se phir aa gaya, khayal thaa ke paa gaya,
us'e jo mujhse door thee, magar meri zaroor thee.

aur ik hasin shaam ko, main chal pada salaam ko,
gali ka rang dekh'kar, nayee tarang dekh'kar,
mujhe badi khushi huyee.

main kuch isi khushee mein tha, kisi ne jhaank'kar kaha,
paraaye ghar se jaai'iye, meri kasam na aai'iye.

wahi haseen shaam hai, bahaar jiska naam hai,
chala hoon ghar ko chodkar, na jaane jaaoonga kidhar,
koi nahin jo tok'kar, koi nahin jo rok'kar,
kahe ke laut aai'iye, meri kasam na jaai'iye.

meri kasam naa jaai'iye ......