Jagjit Singh
HOPE
Khuda Hamko Aise Khudaayee Na De

... khatawaar samjhegee duniyaan tujhe
ke itnee zyaada safaayee na de; ...
khuda aise ehsaas ka naam hai
rahe saamne aur dikhayee na de.


Dhoop Hai Kya Aur Saaya Kya Hai

dhoop hai kya aur saaya kya hai ab maloom hua,
ye sab khel tamasha kya hai ba maloom hua;
hanste phool ka chehra dekhoon aur bhar aayi aankh
apne saath ye kissa kya hai ab maloom hua;
hum barson ke baad bhi usko ab taq bhool na paaye
dil se uska rishtaa kya hai ab maloom hua;
sehra sehra pyaase bhatke saari umr jale
baadal ka ik tukda kya hai ab maloom hua.


Kya Khabar Thi

kya khabar thee is tarah se wo juda ho jaayega
khwaab mein bhi uska milna khwaab sa ho jaayega; ...
dost bankar usko chaaha ye kabhi socha na tha
dosti hee dosti mein wo khudaa ho jaayega;
uska jalwa hoga kya jiska ke parda noor hai
jo bhi usko dekh lega wo fidaa ho jaayega.