Jagjit Singh
INSIGHT
Garaj Baras

garaj baras pyaasi dharthi par phir paani de maula
chidiyon ko daane bacchon ko ud-dhaani de maula
do aur do ka jod hamesha chaar kahan hota hain
soch samajh waalon ko thodi naadaani de maula
phir roshan kar zeher ka pyaala chamka nayee saliben
jhooton ki duniya mein sach ko taabaani de maula
phir moorath se bahar aakar chaaron aur bhikar ja
phir mandir ko koi meera deewaani de maula
tere hote koi kisi ki jaan ka dushman kyoon ho
jeene waalon ko marne ki aasaani de maula


Apna Gham

apna gham le ke kahin aur na jaaya na jaye
ghar mein bikhri huee cheezon ko sajaaya jaye
jin chiragon ko hawaon ka koi khauf nahin
un chiragon ko hawaon se bachaya jaye
baag mein jaanay ke aadaab hua karte hain
kisi titlee ko na phoolon say udaya jaye
ghar se masjid hai bahut door chalo yun kar le
kisi rote huye bachay ko hansaya jaye


Jiivan Kya Hai

jiivan kyaa hai, chalataa-phirataa ek khilonaa hai
do aankhon mein, ek se hansanaa, ek se ronaa hai