Jagjit Singh
KAHKASHAN
Ab Mere Paas Tum Aayee Ho

ab mere paas tum aayee ho to kya aayee ho
maine maana ke tum ik paikar-e-raanaee ho
chaman-e-daher mein rooh-e-chamanarayee ho
tallat-e-meher ho firdaus ki barnai ho
bint-e-mehtaab ho gardoo se utar aayee ho
mujhse milne mein abandesha-e-ruswaayee hai
maine khud apne kiye ki ye saza paayee hai
ab mere paas tum aayee ho to kya aayee ho

un dinon mujhpe qayamat ka junoon taari thaa
sar pe sarshaari-o-ishrat ka junoon taari thaa
maahpaaron se mohabbat ka junoon taari thaa
shehri yaaron se raqabat ka junoon taari thaa
bistar-e-makhmal-o-sanjaab thee duniya meri
ek rangeen-o-haseen khwaab thee duniya meri

kya sunogi meri majrooh jawaani ki pukaar
meri fariyaad-e-jigar doz mera lala-e-zaar
shiddhat-e-kard mein doobi hui meri guftaar
main ke khud apne mazak-e-tarabgee ka shikaar
wo gudaaz-e-dil-e-marhoom kahan se laaoon
ab mein wo zazba-e-masoom kahan se laaoon
ab mere pass tum aayee ho to kya aayee ho


Sham-E-Gham Kuch

sham-e-gham kuch us nigah-e-naaz ki baaten karo
bekhudi badhti chali hai raaz ki baaten karo

ye sukut-e-naaz ye dil ki ragon ka tootna
khamoshi mein kuch shikast-e-saaz ki baaten karo

kuch kafas ki tiliyon se chhan raha hai noor saa
kuch faza kuch hasraten parwaaz ki baaten karo

nakhaten zulfen pareshaan daastaan-e-shaam-e-gham
suboh hone tak isi andaaz ki baaten karo


Ae Gham-E-Dil Kya Karoon

shahar ki raat aur main naashad-o-naakara firoon
jagmagati jaagti sadkon pe awara firooon
gair ki basti hai kab tak dar badar mara firoon
ae gham-e-dil kya karoon ae wahshat-e-dil kya karoon

yeh rupahli chaon yeh aakashh par taaron ka jaal
jaisi sufi ka tasawwur jaise aashiq ka khayaal
aah lekin kaun samjhe kaun jaane jee ka haal
ae gham-e-dil kya karoon ae wahshat-e-dil kya karoon

raat hans hans kar ye kehti hai ke maikhaane mein chal
fir kisi shehnaz-e-lala-rukh ke kaashaane mein chal
ye nahin mumkin to fir ae dosth veeraane mein chal
ae gham-e-dil kya karoon ae wahshat-e-dil kya karoon

jee mein aata hai yeh murda chaand taare noch loon
is kinaare noch loon aur us kinaare noch loon
ek do ka zikr kya saare ke saare noch loon
ae gham-e-dil kya karoon ae wahshat-e-dil kya karoon

raaste mein ruk ke dum le loon meri aadat nahin
laut kar waapas chala jaaoon meri fitrat nahin
aur koi humnawa mil jaaye ye kismat nahin
ae gham-e-dil kya karoon ae wahshat-e-dil kya karoon


Yeh Jo Qaul-O-Qaraara Hai Kya Hai

yeh jo qaul-o-qaraara hai kya hai
shak hai ya aitbaar hai kya hai

yeh jo uttha hai dil mein reh reh kar
abr hai yaa gubaar hai kya hai

zer-e-lab ik jhalak tabassum ki
barq hai ya sharaar hai kya hai

koi dil ka makaam samjhaao
ghar hai ya rehguzaar hai kya hai

na khula ye ke saamna tera
deed hai, intezaar hai kya hai


Hijaab-E-Fitna Parwar

hijaab-e-fitna parwar ab utha leti to achha thaa
khud apne husn ko parda bana leti to achha thaa

teri neechi nazar khud teri ismat ki muhafiz hai
tu is nashtar ki tezi aazma leti to achha thaa

tere maathe ka tika mard kee kismat ka taara hai
agar tu saaz ye bedari utha leti to achha thaa

teri maathe pe ye aanchal bahut hi khoob hai lekin
tu is aanchal se ik parcham bana leti to achha thaa


Alwida

ae' malihaabaad ke rangeen gulistaan alwida
alwida-e-sar-zameen-e-subahe_khanda alwida
alwida-e-kishwareesh-e-ro_shabistaan alwida
alwida-e-jalwa-gaahe husn-e-jaana alwida
tere ghar se ek zinda laash utth jaane ko hai
aa gale milne ke aawaaz-e-jaras aane ko hai

haaye kya kya neebate mujko mili thee bebahaar
ye khamoshi ye khule maidaan ye dhandi hawaa
waye-e-jaam-aksh bustha haaye ye rangeen fazan
mar ke bhi inko na bhoolega dil-e-dar aashnaa
masth koyal jab dagan ki waadiyon mein gaayegi
ye subuk chaaon babulon ki bahut yaad aayegi

kal se kaun is baag ko rangeen banaane aayega
kaun phoolon ki haseen par muskuraane aayega
kaun is sabze ko sote se jagaane aayega
kaun in paudho ko seene se lagaane aayega
kaun jaagega kamar ke naazukaane ke liye
chaandni raaton ko zaanon par sulaane ke liye

aam ke baagon mein jab barsaat hogi kurkharosh
meri furkat mein lahoo royegi chasm-e-main may-farosh
ras ki boonde jab uda degi gulistaan ruh ke hosh
unje rangeene pukaareingi hawaye josh josh
sun ke mera naam mausam gham zara ho jayega
ek mehshar sa gulistaan mein wafa ho jaayega

aa gale mil lein khuda-haafiz gulistaan-e-watan
ae' amaani ganj ke maidaan ae' jaan-e-watan
alwida ae' laala_zaaro soombulistaan-e-watan
as-salam-e-sohbat-e-rangeen-yaaraan-e-watan
hashr tak rahne na dena tum dagan ki khaak mein
dafn karna apne shaayar ko watan ki khaak mein


Raat Bhar Deeda-E-Namnaar

raat bhar deeda-e-namnaar mein lehraate rahe
saans ki tarha se aap aate rahe jaate rahe

khus the hum apne tamaannao ka khwaab aayega
apna armaan baraf ganda naqaab aayega

aa gayee thee dil-e-muzttar mein shikee-baaye se
baz rahee thi mere ghamkhaane mein shehnaayee si

shab ki jaagi hui taaron ko bhi neend aane lagi
aap ke aane ki ik aas thi ab jaane lagi

suboh ne sej se uthte huye li angdaee
os saba too bhee jo aayee to akeli aayee


Taskeen-E-Dil-E-Mehzoom Na Hui

taskeen-e-dil-e-mehzoom na hui wo sayye karam farma bhi gaye
is sayye karam ko kya kahiye behla bhi gaye tadpa bhi gaye

hum marz-e-wafa bhi kar na sake, kuch keh na sake, kuch sun na sake
yaan humne jaban hi kholi thee waan aankh jhuki sharma bhi gaye

is mehfil-e-kaif-o-masti mein, is anjuman-e-irfaani mein
sab jaam bakaf baithe hi rahe hum pee bhi gaye chalka bhi gaye


Ghazal Ka Saaz Uthao

ghazal ka saaz utthao badi udaas hai raat
nawa-e-veer sunao badi udaas hai raat

kahen na tumse to fir aur kisse jaake kahen
siyaah-julf ke saayo badi udaas hai raat

suna hai pehle bhi aise mein bujh gaye hain charaag
dilon kee khair manaao badi udaas hai raat

diye raho tum yuhin kuch der aur haath mein haath
abhi na paas se jaao badi udaas hai raat


Ek Chameli Ke Mandwe Tale

ek chameli ke mandwe tale
maikade se zara door us mod par
do badan do badan
do badan pyaar ki aag mein jal gaye

pyar harf-e-wafa
pyaar unka khuda
pyaar unkee chitaa
do badan do badan
do badan pyaar ki aag mein jal gaye

humne dekha unhen
din mein aur raat mein
noor-o-zulmaat mein
do badan, do badan
do badan pyaar ki aag mein jal gaye

masjidon ke munaaron ne dekha unhe
mandiron ke kiwadon ne dekha unhe
maikade kee dadaadon ne dekha unhe
do badan do badan
do badan pyaar ki aag mein jal gaye

azazalta abad ye bata chaaragar
teri zambeer mein
nuskh-e-imiaaye mohabbat bhi hai
kuch ilaaz-o-mudaawa-e-ulfat bhi hai
do badan do badan
do badan pyaar ki aag mein jal gaye


Kisika Yun To Hua Kaun

kisi ka yun to hua kaun umr bhar fir bhi
ye husn-o-ishq to dhokha hai sab magar fir bhi

hazaar baar zamaana idhar se guzra hai
nayee nayee si hai kuch teri reh-guzar fir bhi

teri nigaah se bachne mein umr guzri hai
utar gaya rag-e-zaam mein ye neshtar fir bhi


Dekhna Jazb-E-Mohabbat Ka Asar

dekhna jazb-e-mohabbat ka asar aaj ki raat
mere shaane pe hai us shokh ka sar aaj ki raat

nur hi nur hai kis simt uthaoon aankhe
husn hi husn hai taahat-e-nazar aaj ki raat

nagma-o-mai ka ye toofan-e-tarab kya kehna
mera ghar ban gaya khayyam ka ghar aaj ki raat

nargis-e-naaz mein wo neend ka halka sa khumaar
wo mere naghma-e-sheri ka asar aaj ki raat


Ab Akshar Chup Chup Se Rahe Hain

ab akshar chup chup se rahe hain yun hi kab lab khole hain
pehle "firaq" ko dekha hota ab to bahut kam bole hain

din mein humko dekhne waalon apne apne hain aukaad
jaao na tum in khusk aankhon par hum raaton ko role hain

gham ka fasana sunne-waalon aakhir-e-shab aaraam karo
kal yeh kahani fir chedenge hum bhi zara ab sole hain