Jagjit Singh
MARASIM
Haath Chute Bhi To

haath chute bhi to riste nahin choda karte
wakt ki saakh se lamhe nahin toda karte
....
shahad jeene ka mila karta hai thoda thoda
jane wale ke liye dil nahin thoda karte

lagke saahil se jo behta hai use behne do
aise dariya ka kabhi rukh nahin moda karte


Ek Purana Mausam Lauta

ek purana mausam lauta, yaad bhari purwaii bhi
aisa to kam bhi hota hai, woh bhi ho tanhai bhi

yaadon ki bauchaaron se jab palken bheegne lagti hain
kitne soundhi lagti hai tab maaji ki ruswaii bhi

do do shaqlen dikhti hain is bahke se aaine mein
mere saath chala aaya hai aapka ek soudaii bhi

khamoshi ka haasil bhi ek lambi si khamoshi hai
unki baat suni bhi hamne, aapni baat sunai bhi


Aankhon Mein Jal Raha Hai Kyon

aankhon mein jal raha hai kyon, bujhta nahin dhuaan
uthta to hai ghata sa barasta nahin dhuaan

chulhe nahin jalae ya basti hi jal gayee
kuch roz ho gaye hain ab uthta nahin dhuaan

aankhon ke pochne se laga aanch ka pata
yun chehera phel lene se chupta nahin dhuaan

aanknon se aasuon ke marasim purane hain
mehmaan ye ghar main aayen to, chubhta nahin dhuaan


Shaam Se Aankh Mein Nami Si Hai

shaam se aankh mein nami si hai
aaj phir aap ki kami si hai

dafhn kardo hamen ki saans mile
nabz kuch der se thami si hai

wakt rukta nahin kahin tik kar
iski aadat bhi aadmi si hai

koi rishta nahin raha phir bhi
ek tasalleem laazimi si hai


Ek Parwaaz Dikhai Di Hai

ek parwaaz dikhai di hai
teri aawaz sunayee di hai

jiski aankhon mein kati thi sadiyan
usne sadiyon ki judai di hai

sirf ek safha palat kar usne
beeti baaton ki safai di hai

phir wahin lautke jaana hoga
yaar ne kaisee rihayee di hai

aag mein kya kya jal raha hai shab-bhar
kitni khus-rang dikhai di hai


Din Kuch Aise Gujarta Hai Koi

din kuch aise gujarta hai koi
jaise ehsaan utaarta hai koi

aaina dekh kar tasalli hui
hamko is ghar main jaanta hai koi