Jagjit Singh
MIRAGE
Apni Marzi Se Kahan

apni marzi se kahan apni safar ke hum hain,
rukh hawaaon ka jidhar ka hai udhar ke hum hain;
pehle har cheez thi apni magar ab lagta hai,
apne hi ghar mein kisi doosre ghar ke hum hain;
waqt ke saath mitti ka safar sadiyon se,
kisko maaloom kahan ke hain kidhar ke hum hain;
chalte rehte hain ke chalnaa hai musaafir ka naseeb,
sochte rehte hain kis raah guzar ke hum hain.


Dushman Ko Bhee Seene Se Lagana Nahin Bhoole

tum aankhon ki barsaat bachaaye huye rakhna,
kuch log abhi aag lagaana nahin bhoole;
ye baat alag haath qalam ho gaye apne,
hum aapki tasveer bananaa nahin bhoole;
ik umr huyee main to hansi bhool chuka hoon,
tum ab bhee mere dil to dukhaana nahin bhoole.


Koi Chaudhween Raat Ka Chaand Bankar

koi chaudhween raat ka chaand bankar,
tumhaare tasavvur mein aaya to hoga;
kisi se to kee hogi tumne mohabbat,
kisi ko gale se lagaya to hoga;
tumhaare khayalon ke angdaaiyon mein,
meri yaad ke phool mehke to honge;
kabhi apne aankhon ke kaajal se tumne,
mera naam likhkar mitaaya to hoga;
labon se mohabbat ka jaadoo jagake,
bhari bazm mein sabse nazaren bachaake;
nigaahon ki raahon se dil mein samaake,
kisi ne tumhe bhee churaaya to hoga;
kabhi aaeene se nigaahen milakar,
jo lee hogi bharpoor angdaaiyon toone;
to ghabraake khud teri angdaaiyon ne,
tere husn ko gud-gudaaya to hoga.
nigahoon mein shamm-e tamanna jalake,
takii hoonge tumne bhi raahen kisiki;
kisine to waada kiya hoga tumse,
kisi ne tumhe bhee rulaya to hoga.


Ik Barahman Ne Kaha Hai

ik barahman ne kaha hai ke ye saal achhaa hai.
zulm ki raat ab jaldi dhalegi abto,
aag choolhon mein har ek roz jalegi abto; .....
naye waadon ka jo daala hai wo jaal achha hai,
rehnumaaon ne kaha hai ke ye saal achha hai;
dil ke khoosh rakhne mein 'Ghaalib' ye khayal achha hai.


Zindegi Se Badi Saaza Hi Nahin

sach ghatay ya badey to sach na rahey,
jhooth ki koi intehaa hi nahin;
jad do chaandi mein chahey sonay mein,
aaiana jhooth bolta hi nahin.


Mai Rahe, Meena Rahe

hashth bhee to ho chuka rukh se nahin hatthi naqaab,
hadh bhee aakhir kuch hai kab tak koi deewaana rahe;
raat ko ja baithte hain roz hum majnu ke paas,
pehle an-ban reh chuki hai ab to yaaraana rahe;