Jagjit Singh
MIRZA GHALIB
Kab Se Hoon Kya Bataaoon

qaasid ke aate aate khat ik aur likh rakhoon
main jaanta hoon jo wo likhenge jawaab mein

kab se hoon kya bataaoon jahaan-e-kharaab mein
shab haaye hizr ko bhi rakhoo gar hisaab mein

mujh tak kab unki bazm mein aata thaa daur-e-jaam
saaqi nein kuch mila na diya ho sharaab mein

taaqir na intezaar mein neend aaye umr bhar
aane ka ehed kar gaye aaye jo khwaab mein

'ghalib' chuti sharaab par ab bhi kabhi kabhi
peeta hoon roj-e-abro shab-e-maahtaab mein


Hazaaron Khwahishain Aisee

hazaaron khwahishain aisee ke har khwahish pe dam nikle
bohot nikle mere armaan lekin phir bhee kam nikle

nikalna khuld se aadam ka sunte aayain hain lekin
bohot be_aabru hokar tere kooche se ham nikle

mohabbat mein naheen hai farq jeene aur marne kaa
usee ko dekh kar jeete hain jis kaafir pe dam nikle

khuda ke waaste parda nakaab-e se uthaa zaalim
kaheen aisa na ho yaan bhee wohee kaafir sanam nikle

kahaan maikhaane ka darwaaza 'ghalib' aur kahaan waaiz
par itana jaante hain kal wo jaata tha ke ham nikle


Dil-e-Nadaan

dil-e-naadaan tujhe huaa kya hai?
aakhir is dard kee dawa kya hai

hamko unse wafa ki hai ummeed
jo naheen jaante wafa kya hai...

jab ki tujh bin naheen koee maujood
fir ye hangaama, 'ei khuda ! kya hai

jaan tum par nisaar karta hoon
main naheen jaanata duaa kya hai


Unke dekhe se

ik barhaman ne kaha hai ke ye saal achcha hai
humko maaloom hai jannat ki haqeeqat lekin
dil ko khush rakhne ko 'ghalib' ye khayaal achcha hai