Jagjit Singh
SAHER
Tere Bare Mein Jab Socha Nahin Tha

tere bare mein jab socha nahin tha
mein tanha tha magar itna nahin tha
teri tasveer se karta tha baten
mere kamre mein aaiina nahin tha
samander ne mujhe pyasa hi rakha
mein sehra mein tha pyasa nahin tha
manane ruthne ke khel mein ham
bichhad jayenge yeh socha nahin tha
suna hai bandh kar li usne aankhen
kai raaten se woh soya nahin tha


Mujhse Bichhad Ke Khush Rehte Ho

mujhse bichhad ke khush rehte ho
meri tarah tum bhi jhute ho
ek tahni pe chaand tika tha
main yeh samjha tum baithe ho
uujle uujle phool kile the
bilkul jaise tum haste ho
mujhke shaam bata deti hai
tum kaise kapde pehne ho
tum tanha duniya se ladhoge
bachhon si baten karte ho


Tum Ne Dil Ki Baat Keh Di

tum ne dil ki baat keh di, aaj yeh achha hua
hum tumhe apna samajh the, bada dhoka hua
jab bhi humne kuch kaha, uska asar ulta hua
aap shayad bhoolte hain, baarha aisa hua
aapki aankhon mein yeh aansoo kahan se aa gaye
hum to deewane hain lekin, aapko yeh kya hua
ab kisi se kya kahen 'Iqbaal' aapni daastan
bas khuda ka shukr hai, jo bhi hua aachha hua


Mujhe Hosh Nahin

kitni pi, kaise kati raat, mujhe hosh nahin
raat ke saath gayi baat, mujhe hosh nahin
mujhko yeh bhi nahin maaloom ki jaana hai kahan
thaam le koi mera hath, mujhe hosh nahin
jaane kya toota hai, paiimana ki dil hai mera
bikhre-bikhre hain khayalaat, mujhe hosh nahin
aansoonon aur sharabon mein gujar hai ab to
maine kab dekhi thi barsaat, mujhe hosh nahin


Ye Jo Zi.ndagii Kii Kitaab Hai

ye jo zi.ndagii kii kitaab hai ye kitaab bhii kyaa kitaab hai
kahii.n ik hasiin saa Khvaab hai kahii.n jaan-levaa azaab hai

[azaab = torment/anguish]

kahii.n chha.Nv hai kahii.n dhuup hai kahii.n aur hii ko_ii ruup hai
ka_ii chehare is me.n chhupe hu_e ik ajiib sii ye naqaab hai

kahii.n kho diyaa kahii.n paa liyaa kahii.n ro liyaa kahii.n gaa liyaa
kahii.n chhiin letii hai har Khushii kahii.n meharabaan behisaab hai

kahii.n aa.Nsuo.n kii hai daastaa.N kahii.n muskuraahaTo.n kaa bayaa.N
kahii.n barqato.n kii hai baarishe.n kahii.n tishnagii behisaab hai

[bayaa.N = tale; barqat = prosperity/good fortune; tishnagii = thirst]


Yaad Nahii.n Kyaa Kyaa Dekhaa Thaa

yaad nahii.n kyaa kyaa dekhaa thaa saare manzar bhuul gaye
us kii galiyo.n se jab lauTe apanaa bhii ghar bhuul gaye

Khuub gaye pardes ki apane diivaar-o-dar bhuul gaye
shiish-mahal ne aisaa gheraa miTTii ke ghar bhuul gaye

tujh ko bhii jab apanii qasame.n apane vaade yaad nahii.n
ham bhii apane Khvaab terii aa.Nkho.n me.n rakh kar bhuul gaye

mujh ko ji.nho.ne qatl kiyaa hai ko_ii u.nhe.n batalaaye 'Nazeer'
merii laash ke pahaluu me.n vo apanaa Khanjar bhuul gaye


Charaag-E-Ishq Jalaane Kii Raat Aaii Hai

charaaG-e-ishq jalaane kii raat aa_ii hai
kisii ko apanaa banaane kii raat aa_ii hai

falak ka chaa.Dd bhii sharmaa ke muu.Nh chhupaayegaa
naqaab ruKh se uThaane kii raat aa_ii hai

nigaah-e-saaqii se paiham chhalak rahii hai sharaab
pi_o ki piine-pilaane kii raat aa_ii hai

vo aaj aa_e hai.n mahafil me.n chaa.Ndanii lekar
ki raushanii me.n nahaane kii raat aa_ii hai


Tere Aane Kii Jab Khabar Mahake

tere aane kii jab Khabar mahake
tere Khushbuu se saaraa ghar mahake

shaam mahake tere tasavvur se
shaam ke baad phir sahar mahake

[tasavvur = thought; sahar = morning]
raat bhar sochataa rahaa tujh ko
zahan-o-dil mere raat bhar mahake

[zahan = mind]
yaad aaye to dil munavvar ho
diid ho jaaye to nazar mahake

[munavvar = illuminated; diid = seen/to see]
vo gha.Dii do gha.Dii jahaa.N baiThe
vo zamii.n mahake vo shajar mahake

[shajar = tree]