Jagjit Singh
TOGETHER
HoshWalon Ko Khabar Kya

hoshwaalon ko khabar kya bekhudi kya cheej hai
ishq kije phir samajheye jindegi kya cheej hai
hoshwaalon ko khabar kya bekhudi kya cheej hai

unse nazreen kya mileen roshan phizayen ho gayee
aaj jaana pyar ki jaadugari kya cheej hai
ishq kije phir samajheye jindegi kya cheej hai

khulti julfon ne sikhayi mausamon ko shayari
jhukti aankhon ne batayaa maikashi kya cheej hai
ishq kije phir samajheye jindegi kya cheej hai

hum labon se keh na paye unse haal-e-dil kabhi
aur woh samjhe nahin yeh khamoshi kya cheej hai
ishq kije phir samajheye jindegi kya cheej hai


Gulshan Ki Faaqat Phoolon Se

gulshan ki faaqat phoolon se nahin
kaanto se bhi jeenat hoti hai
jeene ke liye is duniya mein
gham ki bhi jaroorat hoti hai

e waieze nadaan karta hai
tu ek quayamaat ka charcha
yahan roz nigahen milte hain
yahan roz quayamat hoti hai

woh kurshishe gham ko aaye hai
kuch keh na sakoon kuch kar na sakoon
khamosh rahoon to mushkil hai
keh doon to siquayaan hoti hai


Aapko Dekh Kar Dekhta Rehgaya

aapko dekh kar dekhta rehgaya
kya kahoon aur kehne ko kya reh gaya

unki aankhon se kaise chalakne laaga
mere hoton pe jo maajra reh gaya
aapko dekh kar dekhta reh gaya

aise bicchde sabhi raat ke mod par
akhri hamsafar raasta reh gaya
aapko dekh kar dekhta reh gaya

soch kar aao, hue tamanna hai yeh
janeman jo yahan reh gaya reh gaya
aapko dekh kar dekhta reh gaya


Mujhe Ghussa Dikhaya Ja Raha Hai

mujhe gussaa dikhaayaa jaa rahaa hai
tabassum ko chabaayaa jaa rahaa hai

vahiin tak aabaruu mein zabt-e-gam hai
jahaan tak muskuraayaa jaa rahaa hai

do aalam main ne chhode jisakii khaatir
vahii daaman chhudaaye jaa rahaa hai

qariib aane mein hai un ko takalluf
vahin se muskuraayaa jaa rahaa hai


Nazar Nazar Se Milaakar Sharaab Peete Hain

nazar nazar se milaakar sharaab peete hain
ham unko paas bithaakar sharaab peete hain

isii liye to andheraa hai maikade mein bahut
yahaan gharon ko jalaakar sharaab peete hain

hamen tumhaare sivaa kuch nazar nahiin aata
tumhen nazar mein sajaakar sharaab peete hain

unhii ke hisse mein aatii hai pyaas hii aksar
jo doosron ko pilaakar sharaab peete hain


Din Aa Gaye Shabaab Ke Aanchal Sambhaaliye

din aa gaye shabaab ke aanchal sambhaaliye
hone lagii hai shahar mein hal-chal sambhaaliye

chaliye sambhal sambhal ke kathin raah-e-ishq hai
naazuk badi hai aap ki paayal sambhaaliye

saj dhaj ke aap nikale sar-e-raah khair ho
takaraa na jaaye aap ka paagal sambhaaliye

ghar se naa jaao duur kisi ajanabi ke saath
barasenge zor-zor se baadal sambhaaliye