Jagjit Singh
UNIQUE
Aap Se Gila

aap se gila aap kee kasam, sochte rahe kar sake na hum;
uski kyaa khata la dawa hai gham, kyoon gila karen chaargar se hum...;
khenchte rahe umr bhar mujhe, ik taraf khuda ik taraf sanam;
ye agar nahin yaar ki gali, chalte chalte kyoon ruk gaye kadam.


Bujh Gayee Tapte Hue Din Ki Agan

bujh gayee tapte huyee din ki agan, saanjh ne chup-chaap hi pee lee jalan, raat jhuk aayee pehan ujla wasan;
praan tum kyoon maun ho kuch gun-gunaao, chaandni ke phool chun lo mushkuraao;
ek neeli jheel sa faila achal, aaj ye aakaash hai itna sajal, chaand jaise roop ka ubhraa kamal;
raat bhar is roop ka jaadoo jagaao, praan tum kyoon maun ho kuch gun-gunaao;
chal raha hai chait ka chanchal pawan, baandh lo bikhri huyee undal sakhan, aaj ho kajraa udaasi hai nayan;
maang bhar lo baal par bindiyaa sajaao, praan tum kyoon maun ho kuch gun-gunaao.


Tera Chehra Kitna Suhana

aag ka kya hai pal-do-pal mein lagti hai, bujhte bujhte ek zamaana lagta hai;
sach to ye hai phool ka dil bhee chalni hai, hansta chehera ek bahaana lagta hai.


Bas Ek Waqt Ka Khanjar

main dewtaa ki tarah qaid apne mandir mein, wo mere jism ke baahar meri talaash mein hai;
main jiske haath mein ek phool deke aaya tha, usi ke haath ka patthar meri talaash mein hai.