Urdu Shayaris and Ghazals - Page 5
Poet: Meer Taqi Meer

yaaro mujhe mu'aaf karo mai.n nashe me.n huu.N
ab do to jaam khaalii hii do mai.n nashe me.n huu.N

maazuur huu.N jo paao.n mere betarah pa.De
tum sar-garaa.N to mujh se na ho mai.n nashe me.n huu.N

[maazuur = helpless; betarah = unsteady; sar-garaa.N = annoyed]

yaa haatho.n haath lo mujhe jaise ke jaam-e-may
yaa tho.Dii duur saath chalo mai.n nashe me.n huu.N

[jaam-e-may = goblet of wine]


Poet: Zafar Gorakhpuri

kyaa ummiid kare ham un se jin ko vafaa maaluum nahii.n
Gam denaa maaluum hai lekin Gam kii davaa maaluum nahii.n

jin kii galii me.n umr ga.Nvaa dii jiivan bhar hairaan rahe
paas bhii aake paas na aaye jaan ke bhii a.njaan rahe
kaun sii aaKhir kii thii hamane aisii Khataa maaluum nahii.n

ai mere paagal armaano.n jhuuThe ba.ndhan to.D bhii do
ai merii zaKhmii ummiido.n dil kaa daaman chho.D bhii do
tum ko abhii is nagarii me.n jiine kii sazaa maaluum nahii.n


Poet: Jigar Moradabadi

baraabar se bachakar guzar jaane vaale
ye naale nahii.n be-asar jaane vaale

[naale = sighs]

muhabbat me.n ham to jiye hai.n jiye.nge
vo ho.nge ko_ii aur mar jaane vaale
mere dil kii betaabiyaa.N bhii liye jaa
dabe paao.n muu.Nh pher ke jaane vaale


Poet: Sardar Anjum

Gam-e-hayaat kaa jaga.Daa miTaa rahaa hai ko_ii
chale bhii aao ke duniyaa se jaa rahaa hai ko_ii

[Gam-e-hayaat = sorrows of life]

kaho ajal se zaraa do gha.Dii Thahar jaaye
sunaa hai aane kaa vaadaa nibhaa rahaa hai ko_ii

[ajal = death]

vo aaj lipaTe hai.n kis naazukii se lashe ko
ke jaise ruuTho.n huo.n ko manaa rahaa hai ko_ii

[naazukii = tenderness; lashe = dead body]

kahii.n palaT ke na aa jaaye saa.Ns nabzo.n me.n
hasiin haatho.n se mayyat sajaa rahaa hai ko_ii

[nabz = pulse; mayyat = corpse]


Poet: Hasrat Jaipuri

yaaro mujhe mu'aaf karo mai.n nashe me.n huu.N
ab tho.Dii duur saath chalo mai.n nashe me.n huu.N

jo kucch hi kah rahaa huu.N nasha bolata hai ye
is kaa na kucch Khayaal karo mai.n nashe me.n huu.N

us maikade kii raah me gir jauu.N na kahii.n
ab meraa haath thaam to lo mai.n nashe me.n huu.N

mujhako to apane ghar kaa pataa yaad hii nahii.n
tum mere aas paas raho mai.n nashe me.n huu.N

kaisii guzar rahii hai muhabbat me.n zi.ndagii
"Hasrat" kuchh apana haal kaho mai.n nashe me.n huu.N


Poet: Wafa Roomani

sataa sataa ke hame.n ashk-baar karatii hai
tumhaarii yaad bahut beqaraar karatii hai

[ashk-baar = tearful]

vo din jo saath guzaare the pyaar ke hamane
talaash un ko nazar baar baar karatii hai

gilaa nahii.n jo nasiibo.n ne kar diyaa hai judaa
terii judaa_ii bhii ab ham ko pyaar karatii hai

[gilaa = complaint]

kinaare baiTh ke jis ke kiye the qaul-o-qaraar
nadii vo ab bhii teraa i.ntazaar karatii hai

[qaul = promises]


Poet: Razi Akhtar 'Shauq'

ye kaun Duub gayaa aur ubhar gayaa mujh me.n
ye kaun saaye kii suurat guzar gayaa mujh me.n

ye kis ke soG me.n shoridaa-haal phirataa huu.N
vo kaun shaKhs thaa aisaa ki mar gayaa mujh me.n

[soG = mourning; shoridaa-haal = wretched condition]

ajab havaa-e-bahaaraa ne chaaraasaazii kii
vo zaKhm jis ko na bharanaa thaa bhar gayaa mujh me.n

[havaa-e-bahaaraa = winds of spring; chaaraasaazii = cure]

vo aadamii ki jo patthar thaa jii rahaa hai abhii
jo aa_iinaa thaa vo bikhar gayaa mujh me.n

bisaal kyaa ki vo jab bhii qariib se guzaraa
vo yuu.N lagaa ki ko_ii raks kar gayaa mujh me.n

[raks = dance]

vo saath thaa to ajab dhuup chaa.Nv rahatii thii
bas ab to ek hii mausam Thahar gayaa mujh me.n


Poet: Sahir Bhopali

Khudaa ke vaaste ab beruKhii se kaam na le
ta.Dap ke phir ko_ii daaman ko tere thaam na le

bas ek sajdaa-e-shukraanaa paa-e-naazuk par
ye maikadaa hai yahaa.N par Khudaa kaa naam na le

zamaane bhar me.n hai.n charche merii tabaahii ke
mai.n Dar rahaa huu.N kahii.n koii teraa naam na le

miTaa do shauq se mujhako magar kahii.n tumase
zamaanaa merii tabaahii kaa intaqaam na le

jise tuu dekh le ik baar mast nazaro.n se
vo umr bhar kabhii haatho.n me.n apane jaam na le

rakhuu.N ummiid-e-karam usase ab mai.n kyaa "Sahir"
ki jab nazar se bhii zaalim meraa salaam na le


Poet: Salaam Machhli Shehri

subah-dam yuu.N hii fasurdaa ho gayaa
ai dil-e-naazuk tujhe kyaa ho gayaa

[fasurdaa = sad]

siinaa-e-baranat se sholaa saa uThaa
Gam-zado.n ke dil kaa naGmaa ho gayaa

[baranat = a musical instrument]

shukriyaa ai gardish-e-jaam-e-sharaab
mai.n bharii mahafil me.n tanhaa ho gayaa

[gardish-e-jaam-e-sharaab = round of drinks]

raat dil ko thaa sahar kaa i.ntazaar
ab ye Gam hai kyo.n saveraa ho gayaa

[sahar = dawn]

bujh ga_ii kuchh is tarah shama-e-"Salaam"
jaise ik biimaar achchhaa ho gayaa


Poet: Seemab Akbarabadi

naamaa gayaa ko_ii na ko_ii naamaabar gayaa
terii Khabar na aa_ii zamaanaa guzar gayaa

[naamaa = letter/message; naamaabar = messenger]

ha.Nsataa huu.N yuu.N ki hijr kii raate.n guzar ga_ii.n
rotaa huu.N yuu.N ki lutf-e-duaa-e-sahar gayaa

[hijr = separation; lutf = joy; duaa = prayer; sahar = morning]

ab mujh ko hai qaraar to sab ko qaraar hai
dil kyaa Thahar gayaa ki zamaanaa guzar gayaa

yaa rab nahii.n mai.n vaaqif-e-rudaad-e-zi.ndagii
itanaa hii yaad hai ki jiyaa aur mar gayaa

[vaaqif = acquainted with; rudaad = tale]


Poet: Sahir Hoshiarpuri

ishq kyaa chiiz hai ye puuchhiye paravaane se
zi.ndagii jis ko mayassar hu_ii jal jaane se

maut kaa Khauf ho kyaa ishq ke diivaane ko
maut Khud kaa.Npatii hai ishq ke diivaane se

ho gayaa Dher vahii.n aah bhii nikalii na ko_ii
jaane kyaa baat kahii shamaa ne paravaane se

husn be-ishq kahii.n rah nahii.n sakataa zi.ndaa
bujh ga_ii shamaa bhii paravaane ke jal jaane se

khaaye jaatii hai nadaamat mujhe is Gafalat kii
hosh me.n aa ke chalaa aayaa huu.N mayaKhaane se

[nadaamat = shame; Gafalat = neglect]

kar diyaa gardish-e-ayyaam ne rusvaa "Sahir"
mujh ko shikavaa hai yagaane se na begaane se

[garidh-e-ayyaam = cycle of time; yagaane = friends]


Poet: 'Shayar' Himayat Ali

har qadam par nit naye saa.Nche me.n Dhal jaate hai.n log
dekhate hii dekhate kitane badal jaate hai.n log

kis liye kije kisii gum-gashtaa jannat kii talaash
jab ki miTTii ke khilone se bahal jaate hai.n log

[gum-gashtaa = lost; jannat = heaven]

kitane saadaa dil hai.n ab bhii sun ke aavaaz-e-jaras
pesh-o-pas se be-Khabar ghar se nikal jaate hai.n log

[aavaaz-e-jaras = sound of bells; pesh-o-pas = thought and wisdom]

shamaa kii maani.nd ahal-e-a.njuman se beniyaaz
aksar apanii aag me.n chup-chaap jal jaate hai.n log

"Shayar" un kii dostii kaa ab bhii dam bharate hai.n aap
Thokare.n khaa kar to sunate hai.n sambhal jaate hai.n log


Poet: Yagna 'Yaas' Changezi

mujhe dil kii Khataa par "Yaas" sharmaanaa nahii.n aataa
paraayaa jurm apane naam likhavaanaa nahii.n aataa

buraa ho paa-e-sarakash kaa ki thak jaanaa nahii.n aataa
kabhii gumaraah ho kar raah par aanaa nahii.n aataa

[paa-e-sarakash = disobedient feet]

mujhe ai naaKhudaa aaKhir kisii ko muu.Nh dikhaanaa hai
bahaanaa kar ke tanhaa paar utar jaanaa nahii.n aataa

[naaKhudaa = boatsman]

musiibat kaa paahaa.D aaKhir kisii din kaT hii jaayegaa
mujhe sar maar kar teshe se mar jaanaa nahii.n aataa

[teshe = axe]

asiiro, shauq-e-aazaadii mujhe bhii gud-gudaataa hai
magar chaadar se baahar paa.Nv phailaanaa nahii.n aataa

[assiro = prisoners]

dil-e-behausalaa hai ik zaraa sii Tiis kaa mahamaa.N
vo aa.Nsuu kyaa piyegaa jis ko Gam khaanaa nahii.n aataa


Poet: Jan Nissar Akhtar

ham se bhaagaa na karo duur Gazaalo.n kii tarah
hamane chaahaa hai tumhe.n chaahane vaalo.n kii tarah

[Gazaal = type of deer]

Khud-ba-Khud nii.nd-sii aa.Nkho.n me.n ghulii jaatii hai
mahakii mahakii hai shab-e-Gam tere baalo.n kii tarah

aur kyaa is se zyaadaa ko_ii narmii baratuu.N
dil ke zaKhmo.n ko chhuaa hai tere gaalo.n kii tarah

aur to mujh ko milaa kyaa merii mehanat kaa silaa
cha.nd sikke hai.n mere haath me.n chhaalo.n kii tarah

zi.ndagii jis ko teraa pyaar milaa vo jaane
ham to naakaam rahe chaahane vaalo.n kii tarah


Poet: Bashir Badr

Khvaab is aa.Nkho.n se ab ko_ii churaa kar le jaaye
qabr ke suukhe huye phuul uThaa kar le jaaye

mu.ntazir phuul me.n Khushbuu kii tarah huu.N kab se
ko_ii jho.nke.n kii tarah aaye u.Daa kar le jaaye

[mu.ntazir = waiting]

ye bhii paanii hai magar aa.Nkho.n kaa aisaa paanii
jo hathelii pe rachii meha.ndii u.Daa kar le jaaye

mai.n mohabbat se mahakataa huaa Khat huu.N mujh ko
zi.ndagii apanii kitaabo.n me.n dabaa kar le jaaye

Khaak i.nsaaf hai naabiinaa buto.n ke aage
raat thaalii me.n chiraaGo.n ko sajaa kar le jaaye

[naabiinaa = blind]


Poet: Makhmoor Saeedi

bikharate TuuTate lamaho.n ko apanaa ham-safar jaanaa
thaa is raah me.n aaKhir hame.n Khud bhii bikhar jaanaa

havaa ke dosh par baadal ke Tuka.De kii tarah ham hai.n
kisii jho.nke se puuche.nge ki hai ham ko kidhar jaanaa

[dosh = shoulder]

mere jalate hue ghar kii nishaanii bas yahii hogii
jahaa.N is shahar me.n raushanii dekho Thahar jaanaa

pas-e-zulmat ko_ii suuraj hamaaraa mu.ntazir hogaa
isii ek vaham ko hamane chiraaG-e-rahaguzar jaanaa

[pas-e-zulmat = beyond the darkness; mu.ntazir = waiting]

dayaar-e-Khaamashii se ko_ii rah-rah kar bulaataa hai
hame.n "Makhmoor"ek din hai isii aavaaz par jaanaa

[dayaar-e-Khamashii = house of death]


Poet: Munir Niazi

zi.ndaa rahe.n to kyaa hai jo mar jaae.N ham to kyaa
duniyaa me.n Khaamoshii se guzar jaae.N ham to kyaa

hastii hii apanii kyaa hai zamaane ke saamane
ek Khvaab hai.n jahaa.N me.n bikhar jaae.N ham to kyaa

ab kaun mu.ntazir hai hamaare liye vahaa.N
shaam aa ga_ii hai lauT ke ghar jaae.N ham to kyaa

[mu.ntazir = waiting]

dil kii Khalish to saath rahegii tamaam umr
dariyaa-e-Gam ke paar utar jaae.N ham to kyaa


Poet: Shehzad Ahmed

jal bhii chuke paravaane ho bhii chukii rusvaa_ii
ab Khaak u.Daane ko baiThe hai.n tamaashaa_ii

taaro.n kii ziyaa dil me.n ik aag lagaatii hai
aaraam se raato.n ko sote nahii.n saudaa_ii

[ziyaa = light/brilliance]

raato.n kii udaasii me.n Khaamosh hai dil meraa
behis hai.n tamannaaye.n nii.nd aa_ii ki maut aa_ii

[behis = in a stupor]

ab dil ko kisii karavaT aaraam nahii.n milataa
ik umr kaa ronaa hai do din kii shanaasaa_ii

ik shaam vo aaye the ik raat farozaa.N thii
vo shaam nahii.n lauTii vo raat nahii.n aa_ii

[farozaa.N = lit-up]


Poet: Kausar Niyazi

kabhii jo nikhat-e-zulf-e-nigaar aa_ii hai
fazaa-e-murdaa-e-dil me.n bahaar aa_ii hai

[nikhat-e-zulf-e-nigaar = perfume of (her) hair]
[fazaa-e-murdaa-e-dil = (in a) dead heart's environment/air]

zaruur terii galii se guzar huaa hogaa
ki aaj baad-e-sabaa beqaraar aa_ii hai

[baad-e-sabaa = morning breeze]

ko_ii dimaaG tasavvur bhii jin kaa kar na sake
ye jaan-e-zaar vo lamahe.n guzaar aa_ii hai

[tasavvur = imagine; jaan-e-zaar = life filled with difficulties]

Khudaa gavaah ki un ke firaaq me.n "Kausar"
jo saa.Ns aa_ii hai vo sogavaar aa_ii hai

[firaaq = separation; sogavaar = mournful/mourning]


Poet: Bashir Badr

hoTho.n pe muhabbat ke fasaane nahii.n aate
saahil pe samu.ndar ke Khazaane nahii.n aate

palake.n bhii chamak uThatii hai.n sote me.n hamaarii
aa.Nkho.n ko abhii Khvaab chhupaane nahii.n aate

dil uja.Dii hu_ii ik saraaye kii tarah hai
ab log yahaa.N raat jagaane nahii.n aate

u.Dane do pari.ndo.n ko abhii shoKh havaa me.n
phir lauT ke bachapan ke zamaane nahii.n aate

[pari.ndo.n = birds]

is shahar ke baadal terii zulfo.n kii tarah hai.n
ye aag lagaate hai.n bujhaane nahii.n aate

ahabaab bhii Gairo.n kii adaa siikh gaye hai.n
aate hai.n magar dil ko dukhaane nahii.n aate

[ahabaab = friends]


Poet: Jan Nissar Akhtar

kaun kahataa hai tujhe mai.n ne bhulaa rakhaa hai
terii yaado.n ko kaleje se lagaa rakhaa hai

lab pe aahe.n bhii nahii.n aa.Nkh me.n aa.Nsuu bhii nahii.n
dil ne har raaz muhabbat kaa chhupaa rakhaa hai

tuune jo dil ke a.ndhere me.n jalaayaa thaa kabhii
vo diyaa aaj bhii siine me.n jalaa rakhaa hai

dekh jaa aake mahakate huye zaKhmo.n kii bahaar
mai.n ne ab tak tere gulashan ko sajaa rakhaa hai


Poet: Mohsin Naqvi

kaun kahataa hai tujhe mai.n ne bhulaa rakhaa hai
terii yaado.n ko kaleje se lagaa rakhaa hai

lab pe aahe.n bhii nahii.n aa.Nkh me.n aa.Nsuu bhii nahii.n
dil ne har raaz muhabbat kaa chhupaa rakhaa hai

tuune jo dil ke a.ndhere me.n jalaayaa thaa kabhii
vo diyaa aaj bhii siine me.n jalaa rakhaa hai

dekh jaa aake mahakate huye zaKhmo.n kii bahaar
mai.n ne ab tak tere gulashan ko sajaa rakhaa hai


Poet: Bashir Badr

agar talaash karuu.N ko_ii mil hii jaayegaa
magar tumhaarii tarah kaun mujhako chaahegaa

tumhe.n zaruur ko_ii chaahato.n se dekhegaa
magar vo aa.Nkhe.n hamaarii kahaa.N se laayegaa

na jaane kab tere dil par na_ii sii dastak ho
makaan khaalii huaa hai to ko_ii aayegaa

mai.n apanii raah me.n diivaar ban ke baiThaa huu.N
agar vo aayaa to kis raaste se aayegaa

tumhaare saath ye mausam farishto.n jaisaa hai
tumhaare baad ye mausam bahut sataayegaa


Poet: Mohsin Naqvi

jab se us ne shahar ko chho.Daa har rastaa sun-saan huaa
apanaa kyaa hai saare shahar kaa ik jaisaa nukasaan huaa

mere haal pe hairat kaisii dard ke tanhaa mausam me.n
patthar bhii ro pa.Date hai.n i.nsaan to phir i.nsaan huaa

us ke zaKhm chhupaa kar rakhiye Khud us shaKhs kii nazaro.n se
us se kaisaa shikavaa kiije vo to abhii naadaan huaa

yuu.N bhii kam aamez thaa "Mohsin" vo is shahar ke logo.n me.n
lekin mere saamane aakar aur hii kuchh a.njaam huaa

[aamez = social/one who mixes freely]