Jagjit Singh
GHAZALS FROM MOVIES
Hothon Se Chuulo Tum

honthon se chhuu lo tum, meraa geet amar kar do,
ban jaao meet mere, meri preet amar kar do
na umar ki seemaa ho, na janam kaa ho bandhan,
jab pyaar kare koi, to dekhe keval man,
nai reet pe chalakar tum, ye reet amar kara do
honthon se chhuu lo tum ...
jag ne cheena mujhse, mujhe jo bhi lagaa pyaaraa,
sab jeeta kiye mujhse, main har dam hi haaraa,
tum haar ke dil apnaa, meri jeet amar kar do,
honthon se chhuu lo tum ...
aakaash ka suuna pan, mere tanha man mein,
payal chankati tum, aajaao jeevan mein,
saansen dekar apni, sangeet amar kar do,
honthon se chhuu lo tum ...


Tum Itna Jo Muskura Rahi Ho

tum itna jo muskura rahi ho
kya gham hai jisko chupaa rahi ho

aankhon mein namee hansi labon par
kya haal hai kya dikhaa rahi ho

ban jaayenge zaher peete peete
ye ashq jo peete rahi ho

jin zakhmon ko waqt bhar chala hai
tum kyoon unhe chede jaa rahi ho

rekhaaon ka khel hai muqqaddar
rekhaaon se maat khaa rahi ho


Jhuki Jhuki Si Nazar

jhuki jhuki si nazar beqaraar hai ke nahin
daba daba sa sahee dil mein pyaar hai ke nahin

tu apne dil ki jawaan dhadkanon ko gin ke bata
meri tarah tera dil beqaraar hai ke nahin

wo pal ke jis mein mohabbat jawaan hoti hai
us ek pal ka tujhe intezaar hai ke nahin

teri umeed pe thukraa raha hoon duniya ko
tujhe bhee apne pe ye aitbaar hai ke nahin


Koi Yeh Kaise Bataaye

koi yeh kaise bataaye ke wo tanha kyoon hai
wo jo apna thaa wahi aur kisi ka kyoon hai
yahi duniya hai to phir aisee ye duniya kyoon hai
yahi hota hai to aakhir yahi hota kyoon hai

ik zara haath badha de to pakad le daaman
uske seene mein sama jaaye hamari dhadkan
itni kurbat hai to phir faaslaa itna kyoon hai

dil-e-barbaad se nikla nahin ab tak koi
ik loote ghar pe diya karta hai dastak koi
aas jo toot gayee phir se bandhaata kyoon hai

tum asarrat ka kaho ya ise gham ka rishta
kehte hain pyaar ka rishta hai janam ka rishta
hai janam ka jo ye rishta to badalta kyoon hai


Kyon Jindegi Ki Raah Mein Majboor Ho Gaye

kyoon zindagi ki raah mein majboor ho gaye
itne huye kareeb ke hum door ho gaye

aisa naheen ke humko koi bhee khushi nahin
lekin ye zindagi to koi zindagi nahin
kyoon iske faisle hamen manzoor ho gaye

paaya tumhe to humko laga tumko kho diya
hum dil pe roye aur ye dil humpe ro diya
palkon se khwaab kyoon gire kyoon choor ho gaye


Tum Ko Dekha To

tum ko dekha to ye khayaal aaya
zindagi dhoop tum ghana chaaya

aaj phir dil ne ik tamanna ki
aaj phir dil ko humne samjhaaya

tum chale jaaoge to sochenge
humne kya khoya humne kya paaya

hum jise gunguna nahin sakte
waqt ne aisa geet kyoon gaaya


Yeh Tera Ghar Yeh Mera Ghar

yeh tera ghar yeh mera ghar kisi ko dekhna ho gar
to pehle aake maang le meri nazar teri nazar
yeh tera ghar yeh mera ghar yeh ghar bahut haseen hai
yeh ghar bahut haseen hai yeh ghar bahut haseen hai

na baadlon ke chaaon mein naa chandni ke gaaon mein
na phool jaise raaste bane hain iske waaste
magar yeh ghar ajeeb hai zameen ke kareeb hai
yeh eet-pattharon ka ghar hamaari hasraton ka ghar

jo chaandni nahin to kya yeh roshni hai pyaar ki
dilon ke phool khil gaye to fikr kya bahaar ki
hamaare ghar na aayegi kabhi khushi udhaar ki
hamaari raahaton ka ghar hamaari chaahaton ka ghar

yahan mahak wafaaon ki mohabbaton ka rang hai
yeh ghar tumhara khwaab hai yeh ghar meri umang hai
na aarzoo pe qaid hai na hausle pe jung hai
humare hauslon ka ghar hamaari himmaton ka ghar


Yeh Daulat Bhi Le Lo

yeh daulat bhi le lo, yeh shohrat bhi le lo
bhale cheen lo mujhse meri jawaani
magar mujhko lauta do bacchpan ka saawan
woh kaagaz ki kasthi woh baarish ka paani

mohalle ki sabse nishaani purani
woh budhiya jise bacche kehte the naani
woh naani kee baaton mein pariyon ka dera
woh chehre ke jhuriyon mein sadiyon ka phera
bhulaaye nahin bhool sakta hai koi
woh choti see raaten woh lambi kahaani

kadi dhoop mein apne ghar se nikalna
woh chidiya woh bulbul woh titli pakadna
woh gudiya ki shaadi pe ladhna jhagadna
woh jhoolon se girna, woh gir ke sambhalna
woh pital ke challon ke pyaare se thofe
wo tuti hui chudiyon ki nishaani

kabhi ret ke oonche tilon pe jaana
gharonde banana, banaake mitaana
woh maasoom chaahat ki tasveer apni
woh khwabon khilono ki taabir jaageer apni
na duniya ka gham tha na rishton ke bandhan
badi khoobsoorat thi woh zindgaani


HoshWalon Ko Khabar Kya

hoshwaalon ko khabar kya bekhudi kya cheej hai
ishq kije phir samajheye jindegi kya cheej hai
hoshwaalon ko khabar kya bekhudi kya cheej hai

unse nazreen kya mileen roshan phizayen ho gayee
aaj jaana pyar ki jaadugari kya cheej hai
ishq kije phir samajheye jindegi kya cheej hai

khulti julfon ne sikhayi mausamon ko shayari
jhukti aankhon ne batayaa maikashi kya cheej hai
ishq kije phir samajheye jindegi kya cheej hai

hum labon se keh na paye unse haal-e-dil kabhi
aur woh samjhe nahin yeh khamoshi kya cheej hai
ishq kije phir samajheye jindegi kya cheej hai